rahat indori shayari | राहत इंदौरी शायरी

90+ राहत इंदौरी शायरी | Rahat Indori Shayari, Poetry, Gazal.

As easily as putting tour things in front of everyone, the relief that is available with Indori Sahab can be estimated with this phrase. “Rahat Indori” is not just a name but it is a feeling that gives relief who are engrossed in the struggle of life. The fans and followers of Rahat Indori Sahab still look for ‘Rahat Indori Shayari’ & ‘Rahat Indori Gazal & Songs’

Contents

Rahat Indori Biography

Born in a small village ‘Sonkachh’ in Madhya Pradesh, Rahat Indori Sahab’s childhood was spent in a very poor mood. Due to being the youngest among siblings, everyone was dear. He got the name “Kamil” by his father, which means he fulfills all his desires. After coming to Indore with his family, there were many ups and downs in his life. The Second World War, which lasted from 1939 to 1985, also had a great impact in India, due to which his father’s job in a large textile mill went away. His father started auto driving on the streets of Indore to keep his life smooth. Rahat sahib also started earning from the age of 10.

Indori was fond of reading since childhood and was very much interested in literature. Staying in Indore, he did his higher secondary and then completed his graduation from Crimean College. After this, he later got M.A from Barkatullah University and then Ph.D. from Urdu Literature from Bhoj Open University in 1975. The never-stoping Rahat Sahab also worked as a professor of Urdu literature at Devi Ahilya University, Indore.

During his lifetime, Rahat Sahib toured the world and tasted his poems and established fame. Rahat Sahab got more love from the countrymen than the love he got in his own country. The lessons learned from the odd circumstances of her life are best presented by Indauri in her poems and poems. This can be gauged from the fact that despite being busy in concerts and seminars, he wrote songs for many famous filmmakers of the film world too. Their prominence is seen more in love songs. Has written songs of films like Aashiyaan, Janam, Khudar, Angry, Forever, Mission-Kashmir, Munna Bhai M.B.B.S, Yarana, Ishq, etc

He was also nominated in the Best Lyricist category by IIFA for a song in the film Munna Bhai M.B.B.S. Due to his interest in studies, he also wrote many books such as Maujood, Rut, Naaraz, Mere Baad Etc.

Rahat Sahab was a poet as well as a keen painter. Due to financial constraints in childhood, he started drawing from the age of 10 only. His artistic talent and uniqueness soon spread his painting fame far and wide. People used to be eager for months before to take pictures made by them. In the poetry of Rahat Sahab, the splendor of the famous poet “Jannisar Akhtar” is seen.

Rahat Sahab had two elder sisters who supported him at every stage of his age, but his elder brother recognized his skill and talent and encouraged him to move forward.  Rahat Sahab has 4 children. Rahat Sahab has a great influence among the youth. He has uniquely introduced the love sentiment in Urdu poetry and people of his unique style are still convincing even today. Rahat Sahab did not leave any literature for which he did not write poems or poets. In the politics and film industry, many people are admiring his talent and unmatched sarcasm.

Rahat Sahab, who enchanted everyone with his prodigious talent, said goodbye to the world while fighting the global pandemic “Corona and heart attack” on August 11, 2020, and left behind a never-filling vacuum.

Rahat Indori Shayari | राहत इंदौरी शायरी

  • Ankhon Mein Paani rakho hothon pe chingari rakhon,
    Zinda rahna hai to tarakiben bahut sari rakhon.
  • Zindagee zinda-dilee ka hee hai naam,
    murda-dil kya khaak jiya karate hai”
  • Tu shaaheen hai paravaaz hai kaam tera,
    tere saamane aasamaan aur bhee hai
  • Bachapan mein sabase adhik baar poochha hua savaal,
    bade hoke kya banana hai, javaab ab mila hai, Phir se bachcha banana hai.
  • Do gaz zameen meree milakiyat to hai..
    Ye maut, toone mujhe zameen-e-ar diya.
  • Bohat Ghuror Hai Darya Ko Apne Hone Par
    Jo Meri Payas Se Uljhe Tu Dhajyan Ur Jayen.
  • Raaz Jo Kuch Ho Isharoon Mein Bta Bhi Dena
    Hath Jab Un Se Milana Tu Daba Bhi Dena.

Rahat Indori ki Shayari

  • Ab Tu Har Hath Ka Pathar Hmain Pehchanta Hai
    Umer Guzri Hai Tere Shehr Mein Aate Jaate.
  • Shakhon Se Tot Jayen Wo Patte Nahi Hain Ham
    Aandhi Se Koi Keh De Ani Auqat Mein Rahe.
  • Ghar Se Yeh Soch Ke Nikla Hon Ke Mar Jana Hai
    Ab Koi Raah Dikha Day Ke Kidhar Jana Hai.
  • Ham Se Pehle Bhi Musafir Kyi Guzre Hon Gey
    Kam Se Kam Rah Ke Pathar Tu Hatate Jate.
  • College Ke Sab Bachay Chup Hain Kaghaz Ki Ik Nao Liye
    Charon Tarf Darya Ki Sorat Pheli Hoyi Bekari Hai.
  • Mein Ne Apni Khusk Aankhon Se Laho Chilka Diya
    Ik Smandar Kehta Tha Muje Ko Pani Chahye.

Rahat Indori Ishq Shayari

  • Ye Saaneha To Kisi Din Guzarne Wala Tha
    Main Bach Bhi Jata To Ik Roz Marne Wala Tha.
  • Bemar Ko Marz Ki Dawa Deni Chahye
    Mein Peta Hun Pila Deni Chahye.
  • Aate Jate Hain Kayi Rang Mere Chehre Par,
    Log Lete Hain Mazaa Zikr Tumhara Kar Ke.
  • Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye
    Dushmano Ki Bhi Raaye Li Jaye.
  • Jo taur hai duniya ka usi taur se bolo
    bahron ka ilaqa hai zara zor se bolo.

Rahat Indori Love Shayari

  • Maza Chakha Ke Hi Mana Hun Mein Bhi Dunya Ko
    Samaj Rahi Thi Keh Aese Hi Chor Dun Ga Usay.
  • Chalte phirte hue MEhtaab dikhayenge tumhe
    Humse milna kabhi Punjab dikhayenge tumhe.
  • Aankh Mein Pani Rakho Honton Pe Changari Rakho
    Zinda Rehna Hai Tu Tarkeben Boht Sari Rakhu.
  • Ab hum makaan ke tala lagaane wale hain
    Pata chala hain ki mehaman aane wale hain.
  • Log har mor pe ruk ruk ke sambhalate kyun hain
    Itana darate hain to phir ghar se nikalate kyun hain.
  • Aesi sardi hai ki sooraj bhii duhaai maange
    Jo ho pardesh mein wo kisse rajaai maange.
  • Maine Apni Khushk Aankhon Se Lahoo Chalka Diya,
    Ik Samandar Keh Raha Tha Mujhko Paani Chahiye.
  • Ye kya uthaye kadam aur aa gai manzil
    Maza to jab hain ke pairon may kuch thakan rahe.

Rahat Indori Shayari on Love

  • Ye ja ke meel ke patthar pe koi likh aaye
    Wo hum nahi hain, jinhe rastaa chalaata hain.
  • Aik Hi Nadi Ke Hain Yeh Do Kinare Dostoo
    Dostana Zindagi Se Mout Se Yaari Rakho.
  • Tajurbe ne ek hee baat sikhaee hai
    Naya dard hee puraane dard kee davaii hai.
  • Abhi is taraf na nigah kar mein gajal ki palkein sawaar lo
    Meri lafz lafz me ho aayina tujhe aaiyne me utaar lo

Rahat Indori Shayari in urdu

  • Na main kaabil e taareef hoon, na kaabil e tahaseen,
    Ek sulajha hua insaan hoon, ulajhe mijaaj ka.. !!
  • Faisle lamhaat k nashlon pe bhari ho gaye
    Taap hakim tha par bete bikhari ho gaye.
  • Mein jis ki khatir mohabbaton ki har ek had se gujar gaya
    Wo ab bhi mujh se ye puchta hai ke such batao wafa kroge
  • kuchh gunaah to tere bhee honge,
    tabhee khuda ne mujhe tujhase juda kar diya !!
  • Maikhane band kare lakh zamane wale,
    Shehar mein kam nahin aankhon se pilane wale. .!!

Rahat Indori Shayari in hindi

जितनी आसानी से अपनी बातो को सबके सामने रखने का हुनर, जो राहत इंदौरी साहबजी के पास है  उसका अंदाजा इसी शेर के  साथ लगया जा सकता है |  ” राहत इंदौरी ” ये सिर्फ एक नाम ही नहीं है बल्कि यह एक एहसास है जो सुकूं देता है उन्हें जो ज़िन्दगी की कश्मकश में उलझे रहते है |

मध्यप्रदेश के एक छोटे से गांव ‘ सोनकच्छ ‘ में जनमे राहत इंदौरी साहब का बचपन बड़ी ही मुफ़लिसी में गुजरा | भाई-बहनों में सबसे छोटे होने की वजह से सबके दुलारे थे |  पिताजी के द्वारा इनको नाम मिला ” कामिल “, मतलब सारी इक्षाएं पूरी करने वाला | परिवार सहित इंदौर आने के बाद इनके जीवन में कई उतार -चढाव आये | सन १९३९ से १९४५ तक चले दूसरे विश्वयुद्ध से हिंदुस्तान में भी काफी प्रभाव पड़ा, जिसकी वजह से पिताजी की एक बड़ी कपड़ा मिल में लगी हुई नौकरी चली गयी | जीवनयापन को सुचारु रखने के लिए पिताजी ने इंदौर की सड़कों पे ऑटो चालना शुरू किया | राहत साहब ने भी १० साल की उम्र  से ही कमाना शुरू कर दिया था |

इंदौरी  बचपन से ही पढ़ने के शौक़ीन थे एवं साहित्य शास्त्र के इनकी रूचि ज़्यदा थी | इंदौर में ही रहके इन्होने अपनी बारहवीं  की और उसके बाद क्रीमियन कॉलेज से अपना ग्रेजुएशन पूरा किया |  इसके बाद इन्होने बाद इन्होने बरकतुल्लाह विश्वविद्यालय से एम.ए और फिर १९८५ में भोज मुक्त विश्वविद्यालय  से उर्दू साहित्य से पीएचडी की उपाधि प्राप्त की | कभी न रुकने वाले राहत साहब ने इंदौर के ही देवी अहिल्या यूनिवर्सिटी में उर्दू साहित्य  के प्राध्यापक  के तौर पे भी काम किया |

राहत साहब ने अपने जीवन काल में पूरे विश्व में भ्रमण करके लोगों को अपनी कविताओं का स्वाद चखाया और कीर्ति इस्थापित  की | राहत साहब को जितना प्यार अपने देश में मिला उससे ज़्यदा उन्हें विदेश में रहने वाले हिन्दुस्तानियों  से प्राप्त हुआ | अपने जीवन की विषम परिस्थितियों से मिली सीख को इंदौरी ने बखूबी अपनी कविताओं और शायरिओं में  प्रस्तुत किया है | इसका अंदाज़ा इसी बात से पता लगाया जा सकता है की  मुशायरें  और गोष्ठियाँ  में व्य्स्त होने के बावजूद  इन्होने फिल्म जगत के भी कई नामचीन फिल्मकारों के लिए गीत लिखे | इनकी प्रमुखता प्रेम-भाव वाले गीतों में ज़्यादा देखने को मिलती है| आशियाँ , जनम , खुद्दार , नाराज़ , हमेशा , मिशन-कश्मीर , मुन्ना भाई , याराना , इश्क़  आदि  फिल्मों  के गाने लिखे है |

फिल्म मुन्ना भाई के एक गीत के लिए इन्हे आई.आई.एफ.ए  द्वारा श्रेष्ठ गीतकार श्रेणी में नामांकित भी किया गया था | पढाई में रूचि होने की वजह से इन्होने कई किताबें भी लिखी जैसे मौजूद , रुत , नाराज़ , मेरे बाद , आदि |

राहत साहब एक कवि के साथ-साथ एक मंझे हुए चित्रकार भी थे |  बचपन में आर्थिक तंगी के कारण , महज़  १० साल की उम्र से ही चित्र बनाना शुरू कर दिया था |  अपनी कलात्मक प्रतिभा और अनूठेपन से जल्दी ही अपनी चित्रकारी की ख्याति दूर-दूर तक फैला दी | लोग इनके बनाये हुए चित्र लेने के लिए महीनों पहले से ही आतुर  रहते थे |  राहत साहब की शायरी  में  मशहूर शायर ” जाँनिसार अख्तर ” जी की छलक देखने को मिलती है |

राहत साहब की दो बड़ी बहनें  थी जिन्होंने उम्र के हर पड़ाव पे उनका साथ दिया , पर उनके बड़े भाई ने उनके कौशल और प्रतिभा को पहचाना और उनको आगे बढ़ने के लिए प्रोत्साहित किया |  राहत साहब की ४ संताने है | राहत साहब का नौजवानों में काफी प्रभाव देखने को मिलता है |  इन्होने उर्दू शायरी  में प्रेम भाव को एक अनूठे अंदाज़ में पेश किया है और इनके बात कहने के निराले अंदाज़ के लोग आज भी कायल है |

राहत साहब ने ऐसा कोई साहित्य नहीं छोड़ा जिसके लिए उन्होंने कवितायेँ  या शायरियाँ न  लिखी हो |  राजनीति , फ़िल्मीजगत में अनेक लोग इनकी प्रतिभा और बेजोड़ कटाक्ष के मुरीद रहे है |

अपनी विलक्षण प्रतिभा से सबको मंत्र-मुग्ध करने वाले राहत साहब ने ११ अगस्त,२०२० को वैश्विक महामारी  ” कोरोना  एव्  हृदयघात ” से एक साथ जंग लड़ते हुए दुनिया को अलविदा कह दिया और अपने पीछे एक कभी न भरने वाला एक खालीपन छोड़ दिया |

Rahat Indori Best Shayari | Rahat Indori Famous Shayari

  • Juba to khol, nazar to mila, jawaab to de
    Mein kitni baar luta hun, mujhe to hisaab to de
    Tere badan ki likhawat mein hain utaar chadhav
    Mein tujhko kaise padhunga, mujhe kitaab to de.
  • Dilon me aag, labon par gulab rakhte hain
    Sab apne chheron par, dohari nakaab rakhte hain
    Hume charaag samjh kar bhuja na paaonge
    Hum apne ghar me kai aaftaab rakhte hain
  • Aankhon mein paani rakho, hothon pe chingaari rakho
    Jinda rahna hai to tarkibe bahut saari rakho
    Raha ke patthar se badh ke kuch nahi hain manjilen
    Raaste aawaz dete hain safar jaari rakho.
  • Raaz jo kuch ho ishaaron me bata bhi dena
    Haath jab usse milaao dabaa bhi dena
    Nashaa vese to buri she hian, magar
    “Rahat” se sunni ho to thodi si pilaa bhi dena.

Rahat Indori Funny Shayari

  • Jagne ki bhi jagane ki bhi aadat ho jaye
    Kash tujh ko bhi kisi shayer se mohbbt ho jaye
    Door hum kitne dinno se hain ye kabhi gaur kiya
    Fir na kehna jo ayanat me khayanat ho jaye.
  • Jo aaj sahib-e-masnand hai kal nahi hoge
    Kirayedaar hai jati makan thode hai..
    Sabhi ka khoon hai shamil yaha ki mitti me
    Kisi ke baap ka hindustaan thodi hai..
  • Intezamat naye sire se sambhale jaaye
    Jitne kamjarf hai mahfil se nikale jaaye
    Mera ghar aag ki lapton me chupa hai lekin
    Jab maza hai, tere aangan me ujaala jaaye.
  • Ye haadsaa to kisee din gujarne waalaa tha
    Me bach bhi jaataa to marne waalaa tha
    Mera naseeb mere haath kat gaye
    Warnaa me teri maang me sindoor bharne waalaa tha.

Rahat Indori Attitude Shayari

  • Mausamo ka khyaal rakah karo
    Kuchh lahoo mein ubaal rakha karo
    Laakh sooraj se dostaana hi
    Chand jugnoo bhi paal rakha karo.
  • Suraj, sitaare, chaand mere saath me rahe
    jab tak tumhare haath mere haath me rahe
    Shaakhon se toot jaaye wo patte nahi hain hum
    Aandhi se koi kah de ki aukaat me rahe.
  • Safar ki had hain waha tak ki kuch nishaan rahe
    Chale chalon ki jaha tak ye aasaman rahe
    Ye kya uthaaye kadam aur aa gayi manjil
    Maza to tab hain ke paeron mein kuch thakaan rahe.
  • Jawaan aankhon ke jugnoo chamak rahe honge
    Ab apne gaonv me amrood pak rahe honge
    Bhulade mujhko magar, meri ungaliyon ke nishaan
    tere badan pe abhi tak chamak rahe honge.

Rahat Indori Motivational Shayari

  • Ye sahara jo na ho to preshaan ho jaaye
    Mushkile jaan hi lele agar aasan ho jaaye
    Ye kuch log fariston se bane firte hain
    Mere hatthe kabhi chad jaaye ti insaan ho jaaye.
  • Kasti tera naseeb chamkadar kar diya
    Is paar ke thapedon ne us paar kar diya
    Afwah thi ki meri tabiyat khrab hai
    Logo ne puch puch ke bimar kar diya.
  • Lave deeyon ki hawa mein uchhalte rahna
    Gulo ke rang pe tezab daalte rahna
    Mein noor ban ke jamaane mein fel jaaunga
    Tum aaftaab mein keede nikalte rahna.

Rahat Indori Sher

  • Tufaano se aankh milayon, saelabon pe war karo
    Mallaho ka chakkar chodo, taer kar dariya paar karo
    Phoolon ki dukaane kholo, khushbu ka vyaapar karo
    Ishq khata hain, to ye khata aek baar nahi, sau baar karo.
  • Is duniya ne meri wafa ka kitna ooncha mol diya
    Baaton ke Tezab me, mere man ka amrat ghol diya
    Jab bhi koi inam mila hai, mera naam tak bhul gaye
    Jab bhi koi ilzam laga hai, mujh par lakar dhol diya.
  • Yahi imaan likhte hai, yahi imaan padhte hai
    Hume kuch aur mat padhwao, hum kuran padhte hai
    Yahi ke saare manzar hai, yahi ke saare mausam hai
    wo andhe hai, jo in aankho me Pakisthan padhte hai.
  • Roz taaron ko numaish mein khalal padta hain
    Chaand pagal hain andhere mein nikal padta hain
    Uski yaad aayi hain saanson, jara dhire chalo
    Dhadknon se bhi ibaadat mein khalal padta hain.

Rahat Indori ke Sher | Rahat Indori Lagegi Aag

  • Faisla jo kuch bhi ho, hume manjoor hona chahiye
    Jung ho ya ishq ho, Bharpur hona chahiye
    Bhoolna bhi hai, jaroori yaad rakhne ke liye
    Paas rahna hai, to thoda door hona chahiye.
  • Sarhadon par tanaav he kya
    Jara pata to karo chunaav hain kya
    Shaharon me to baaroodo ka mausam hain
    Gaonv chalo amroodon ka mausam hain.
  • Kam sab gerjaruri hain, jo sab karte hain
    Aur hum kuch nahi karte, gajab karte hain
    Aap ki nazaron mein, sooraj ki hain jitni ajmat
    Hum charaagon ka bhi, utna hi adab karte hain.

Rahat Indori Poems

Here are some of the Best Rahat Indori poems in Hindi

  • Ishq ne goothe the jo gajre nukile ho gaye
    Tere haathon me to ye kangan bhi dheele ho gaye
    Phool bechare akele rah gaye hain shaakh par
    Gaonv ki sab titaliyon ke haath peele ho gaye.
  • Saanson ki seediyon se utar aayi jindgee
    Bhujte hue diye ki tarah jal rahe hain hum
    Umron ki dhuo, jisam ka dariya shukh gayi
    Hain hum bhi aaftaab, magar dhal rahe hain hum.
  • Dosti jab kisi se ki jaaye
    Dushmano ki bhi raay lee jaaye
    Botlen khol ke to pi barson
    Aaj dil khol ke pi jaaye.
  • Nai hawaon ki sohabat bigaad deti hain
    Kabootron ko khul cchat bigaad deti hain
    Jo jurm karte hain itne bure nahi hote
    Sazaa na de ke adaalat bigaad deti hain.

Rahat Indori Poetry

Here are some of the Best Rahat Indori poetry in Hindi

  • Kabhi mahak ki tarah hum gulon se udate hain
    kabhi dhuyen ki tarah parvaton se udate hain
    Ye kechiya hume udne se khaak rokengi
    Ki hum paron se nahi housalon se udate hain.
  • Jawaniyon me jawani ko dhul karte hain
    Jo log bhul nahi karte, bhul karte hain
    Agar Anaarkali hain sabab bagaavat ka
    Salim hum teri sharten kabool karte hain.
  • Log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyo hain
    Itna darte hain to ghar se nikalte kyo hain
    Mod hota hain jawani ka sambhalne ke liye
    Aur sab log yahi aake fisalte kyo hain.
  • Gulab, khwab, dwa, jahar, jaam, kya kya hain
    mein aa gay hun bata intzaam kya kya hain
    Fakir, shaah, kalndar, imaam, kya kya hain
    Tujhe pata nahi tera gulam kya kya hain.
  • Jaa ke koi kah de, sholon se chingaari se
    Phool is bar khile hain badi taeyari se
    Baadshaahon se bhi feke hue sikke na liye
    Humne khaeraat bhi maangi hain to khuddari se.

Rahat Indori Urdu poetry

  • Jagne ki bhi jagane ki bhi aadat ho jaye
    Kash tujh ko bhi kisi shayer se mohbbt ho jaye
    Door hum kitne dinno se hain ye kabhi gaur kiya
    Fir na kehna jo ayanat me khayanat ho jaye.
  • Jawaniyon me jawani ko dhul karte hain
    Jo log bhul nahi karte, bhul karte hain
    Agar Anaarkali hain sabab bagaavat ka
    Salim hum teri sharten kabool karte hain.
  • Ishq ne goothe the jo gajre nukile ho gaye
    Tere haathon me to ye kangan bhi dheele ho gaye
    Phool bechare akele rah gaye hain shaakh par
    Gaonv ki sab titaliyon ke haath peele ho gaye.
  • Uski kathai aankho me jantar-mantar sab
    Chaaku-waaku,chhuri-wuri,khanjar-wanjar sab
    Jis din se tum ruthi,mujhse ruthe hain
    Chaadar-waadar,takiya-wakiya,bistar-wistar sab.

Rahat Indori Ghazals | राहत इंदौरी ग़ज़ल

  • Aag ke paas kabhi mom ko laakar dekhoon
    Ho izzazat to haath lagaakar dekhoon
    Dil ka mandir bada veeran nazar aata hai
    Sochta hoon teri tasveer lagakar dekhoon.
  • Haath khaali hain tere shahar se jaate jaate
    Jaan hoti to meri jaan lutaate jaate
    Ab to har haath ka patthar hamein pahchanta hai
    Umar gujari hai tere shahar mein aate jaate.
  • Naye safar ka naya intzaam kah denge
    Hawa ko dhup, charaagon ko shaam kah denge
    Kisi se hatth bhi chhupa kar milaiye
    Warna maulvi saahab ise bhi haraam kah denge.
  • Ab jo baazaar mein rakhe ho to hairat kyaa hai
    Jo bhii dekhegaa wo poochhegaa ki keemat kya hai
    Ek hii barth pe do saaye safar karte rahe
    Maine kal raat yah jaana hai ki jannat kyaa hai.

Rahat Indori ki Gazal

These are some Best Rahat Indori Ghazal in Hindi

  • Ban ke ik hadasa bazaar me aa jayega
    Jo nahi hoga wo akhbaar me aa jayega
    Chor uchkkon ki karo kadr, ki maloom nahi
    Kaun, kab, kon si sarkaar me aa jayega.
  • Loo Bhi Chalti Thi Toh Baad-e-Shaba Kehte The,
    Paanv Failaye Andheron Ko Diya Kehte The,
    Unka Anjaam Tujhe Yaad Nahi Hai Shayad,
    Aur Bhi Log The Jo Khud Ko Khuda Kehte The.
  • Haath Khali Hain Tere Shahar Se Jate Jate,
    Jaan Hoti Toh Meri Jaan Lutate Jate,
    Ab Toh Har Haath Ka Patthar Humein Pehchanta Hai,
    Umr Gujri Hai Tere Shahar Mein Aate Jate.
  • Teri Har Baat Mohabbat Mein Ganwara Karke,
    Dil Ke Bajaar Mein Baithe Hain Khasaara Karke,
    Main Woh Dariya Hun Ke Har Boond Bhanwar Hai Jiski,
    Tumne Achha Hi Kiya Hai Mujhse Kinaara Karke.
  • Ajeeb Log Hain Meri Talash Mein Mujhko,
    Wahan Par Dhoondh Rahe Hain Jahan Nahi Hun Main,
    Main Aayino Se Toh Mayoos Laut Aaya Hun,
    Magar Kisi Ne Bataya Bahut Haseen Hun Main.

Rahat Indori Image

  • Roj Taaron Ki Numaaish Mein Khalal Padta Hai,
    Chand Pagal Hai Andhere Mein Nikal Padta Hai,
    Roj Patthar Ki Himayat Mein Ghazal Likhte Hain,
    Roj Sheeshon Se Koi Kaam Nikal Padta Hai.
  • Hain parindon ke lie shaadaab pedon ke huzoom
    Ab merii tootii hui chhat par utartaa kaun hai
    Tere lashkar ke muqabil main akela hoon magar
    Faislaa maidaan mein hoga ki martaa kaun hai.
  • Use Ab Ke Wafaon Se Gujar Jaane Ki Jaldi Thi,
    Magar Iss Baar Mujhko Apne Ghar Jaane Ki Jaldi Thi,
    Main Aakhir Kaun Sa Mausam Tumhare Naam Kar Deta,
    Yehan Har Ek Mausam Ko Gujar Jaane Ki Jaldi Thi.
  • Ajnabi Khwahishein Seene Mein Daba Bhi Na Sakun,
    Aise Ziddi Hain Parinde Ke Uda Bhi Na Sakun,
    Foonk Dalunga Kisi Roj Main Dil Ki Duniya,
    Yeh Tera Khat To Nahi Ke Jala Bhi Na Sakun.
  • Chehron Ke Liye Aayine Kurbaan Kiye Hain,
    Iss Shauk Mein Apne Bade Nuksaan Kiye Hain,
    Mehfil Mein Mujhe Gaaliyan Dekar Hai Bahut Khush,
    Jis Shakhs Par Maine Bade Ehsaan Kiye Hain.
  • Ab Na Main Hun, Na Baaki Hai Zamane Mere,
    Fir Bhi MashHoor Hain Shaharon Mein Fasane Mere,
    Zindagi Hai Toh Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge,
    Ab Bhi Baaki Hain Kayi Dost Puraane Mere.
  • Use Ab Ke Wafaon Se Gujar Jaane Ki Jaldi Thi,
    Magar Iss Baar Mujhko Apne Ghar Jaane Ki Jaldi Thi,
    Main Aakhir Kaun Sa Mausam Tumhare Naam Kar Deta,
    Yehan Har Ek Mausam Ko Gujar Jaane Ki Jaldi Thi.
  • Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate-Jaate,
    Jaan Hoti Toh Meri Jaan Lutate Jaate,
    Ab Toh Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai,
    Umar Gujri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate.

Rahat Indori Status | Rahat Indori Quotes

  • Nind se mera tallukat hi nahi barason se,
    Khwab aa ke meri chat pe tahalate kyun hain.
    Mod hota hai jawani ka sambhalane ke liye,
    Aur sab log yahin ake phisalate kyun hain…
  • Magar sitaron ki faslen uga saka na koi,
    Meri zamin pe kitane hi asman rahe.
    Wo ek sawal hai phir us ka samana hoga,
    Dua karo ke salamat meri zaban rahe…
  • Kansu aur sharabon mein guzri hai ab to,
    Main ne kab dekhi thi barsat mujhe hosh nahin.
    Jane kya tuta hai paimana k dil hai mera,
    Bikhre bikhre hain khayalat mujhe hosh nahin…
  • Kitni pi kaise kati rat mujhe hosh nahin,
    rat k sath gayi bat mujhe hosh nahin.
    mujh ko ye bhi nahin malum k jana hai kahan,
    tham le koi mera hath mujhe hosh nahin.
  • Maut ka zahar hain phijaon mein
    ab kaha ja ke saans lee jae,
    bas isee soch mein hu dooba hua
    ye nadee kaise paar kee jae.
  • Mehfil Mein Mujhe Gaaliyan Dekar Hai Bahut Khush,
    Jis Shakhs Par Maine Bade Ehsaan Kiye Hain.
    dostee jab kisee se kee jaaye
    dushmanon kee bhee raay lee jae.
  • Ab Na Main Hun, Na Baaki Hai Zamane Mere,
    Fir Bhi MashHoor Hain Shaharon Mein Fasane Mere,
    Zindagi Hai Toh Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge,
    Ab Bhi Baaki Hain Kayi Dost Puraane Mere.
  • Daulat baazoo hikamat gesoo shoharat maatha geebat honth
    is aurat se bach kar rahana, ye aurat baazaaree hai,
    kashtee par aanch aa jaaye to haath kalam karava dena
    lao mujhe patavaaren de do, meree zimmedaaree hai…!!
  • Sawal wo puch rahe hai udaas hone ka
    mera mizaaj nahi be libaas hone ka
    naya bahana hai har pal udaas hone ka
    ye faida hai tere ghar k paas hone ka.
  • Ha aek harf ka andaaz badal rakha hain
    Aaj se humne tera naam gazal rakha hain
    Maine shaahon ki mohabbt ka bharm tod diya
    Mere kamre me bhi aek Tajmahal rakha hain.
  • Saari fitrat to naqabon mein chupa rakhi thi
    sirf tasveer uzaale mein laga rakhi thi
    meri gardan pe talwar thi duhsman ki
    meri bajuwon pe meri maa ki duwayen rakhi thi.
  • Log har mod par rukh rukh ke sabhalte q hai
    itna darte hai to ghar se nikalte q hai
    mein na jugnu ho na koi tara ho ye raushni wale
    mere naam se itna jalte q hai.
  • Naye safar ka naya intzaam kah denge
    Hawa ko dhup, chiraagon ko shaam kah denge
    Kisi se hatth bhi chhupa kar milaiye
    Warna maulvi saahab ise bhi haraam kah denge.!!
  • Gulaab khuwaab dawa zehar jaam kiya kiya hai
    mein aa gaya hu bata intezaam kiya kiya hai
    fakir shaah kalandar imaam kiya kiya hai
    tujhe pata nahi tera gulaam kiya kiya hai.
  • Ye sahara jo na ho to preshaan ho jaaye
    Mushkile jaan hi lele agar aasan ho jaaye
    Ye kuch log fariston se bane firte hain
    Mere hatthe kabhi chad jaaye ti insaan ho jaaye.!!
  • Hausle zindagi k dekhate hai
    chaliye kuch roz jee ke dikhate hai
    neend pichhli sadi ke zakhami hai
    khuwaab agli sadi ke dikhate hai.
  • Agar khilaaf hai hone do jaan thodi hai
    Ye sab dhua hai koi aasmaan thodi hai..
    Lagegi aag to aayege ghar kayi zad me
    Yaha pe sirf hamara makan thodi hai..
    Hamare muh se jo nikle wahi sadaqat hai
    Hamare muh me tumhari zuban thodi hai..
    Mai jaanta hu ke dushman bhi kam nahi lekin
    Hamari tarh hatheli pe jaan thodi hai..
    Jo aaj sahib-e-masnand hai kal nahi hoge
    Kirayedaar hai jati makan thode hai..
    Sabhi ka khoon hai shamil yaha ki mitti me
    Kisi ke baap ka hindustaan thodi hai..

Also Read: Parveen Shakir Poetry and Shayari 

Rahat Indori ka Mushaira

Here is the famous Rahat Indori Shayari in Mushaira

Rahat Indori Book

Rahat Indori has written many books which include his Shayari, Sher, Gazal, Songs, and Poetry.

Hope you liked our article on Rahat Indori Shayari, Poetry and Songs. You can also visit the Rahat Indori Wikipedia page for more information.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *